Ae Kashmir!
Bujhi ko Raakh kahte hain,
Jalan ko Aag kahte hain.
Safed pe chhint pad-jaaye
usey Daag kahte hain,
Jahaan khauf ya aatank ho (aae)
usey na-Paak kahte hain…
(Jiskaa KASHMIR hai,
Usko Bhaarat (India) kahte hain…
Kashmir Hindustan kaa hai
yah Haqiqat hai.)
issmein (Kashmir’mein) phoont daalne ya
isey barvaad karne kii koshiish ko
Zuurrat o Himaaqat kahte hain.
Aisaa koii Kaum nahiin,
Jo Khauf kii waqaalat karey,
Mahobbat ho,
Aman kii guzaarish o ibaadat ho,
Aman kii hi pahal ho.
Taraqqii kii guzaariish, koshiish, mohim (barqarraar) ho.
Khushyaalii ho.
Aman kaa hii Jashn ho.
Iraadein naek aur bulond ho,
bas kaushiish hi nahiin, amal bhi ho.
Ae KASHMIR!
kisikii behkaawe mein aaye toh
usey bewaqoofi yaa bagaawat kahte hain,
Jahaan Aman o Shaanti ho
usey hii toh JANNAT kahte hain…
~ Prabeen Kumar Pati